pahle hamari aankh mein binai aai thi
phir is ke baad quwwat-e-goyai aai thi
main apni KHastagi se hua aur paedar
meri thakan se mujh mein tawanai aai thi
dil aaj sham se hi use DhunDne laga
kal jis ke baad kamre mein tanhai aai thi
wo kis ki naghmagi thi jo daron saron mein thi
rangon mein kis ke rang se ranai aai thi
phir yun hua ki us ko tamannai kar liya
meri taraf jo chashm-e-tamashai aai thi
Ghazal
Pahle hamari aankh mein binai aai thi
Ammar Iqbal