pahle hum us ki mahfil mein jaane se katrae to
lekin kya kije jab dil ki shamat hi aa jae to
is jhagDe mein ham-sayon ki daKHl-andazi wajib hai
buniyaadi mauzua yahi tha jag paDe ham-sae to
ghazlon mein rangini lane ki babat phir sochunga
pahle ye batla do us ne chhup kar tir chalae to
KHud milne ki KHwahish karna albatta manzur nahin
waise hum kam-zarf nahin hain wo zahmat farmae to
apna haq hasil karne ki KHatir main bhi chalta hun
mera tera sath na hoga hath agar phailae to
us ki KHaslat bhanp chuka hun baaten hans kar Talega
aur yaqinan baat banegi baaton par jhallae to
log 'muzaffar'-hanafi ko bhi pabandi se paDhte hain
chikni-chapDi ghazlen paDhte paDhte ji uktae to

Ghazal
Pahle hum uski mahfil mein jaane se katrae to
Muzaffar Hanfi