pahle ghire the be-KHabron ke hujum mein
ab aa gae hain dida-waron ke hujum mein
kuchh bhi nahin hai uDti hui rakh ke siwa
kya DhunDte ho kam-nazron ke hujum mein
shahron mein aainon ke KHaridar hi nahin
ek be-kali hai shisha-garon ke hujum mein
pahchan lije kaun hai insan ka rahnuma
in be-shumar rahbaron ke hujum mein
paiwand ki tarah nazar aata hai bad-numa
puKHta makan kachche gharon ke hujum mein
tesha-ba-dast har koi rahta hai raat din
hum dil-jalon ke be-jigaron ke hujum mein
'dauran' bhi ehtijaj hi karte hue mile
saDkon pe gasht karte saron ke hujum mein
Ghazal
Pahle ghire the be-KHabron ke hujum mein
Owais Ahmad Dauran