pahle dukh dard kai dil mein sambhaale main ne
phir kiya KHud ko tere gham ke hawale main ne
kyun khule tujh pe safar mein thi aziyat kaisi
kab dikhae hain tujhe ruh ke chhaale main ne
tu ne har gam jo baKHshe hain andhere mujh ko
un andheron mein tere KHwab ujale main ne
teri taswir mere pas thi yani tu tha
din tere hijr ke is KHwab mein Tale main ne
tere gham se kiya duniya ke ghamon ka chaara
yani ek KHar se sab KHar nikale main ne
shahr walon ne inhen abr-e-karam samjha naz
apne aansu jo hawaon mein uchhaale main ne
Ghazal
Pahle dukh dard kai dil mein sambhaale maine
Naz Butt