pahle dard-e-dil pe kahte the ki ye kya ho gaya
ab ye kawish hai ki kyun bimar achchha ho gaya
dil bhi pahlu mein kabhi ek chiz tha yaadash-ba-KHair
ab KHuda jaane kahan jata raha kya ho gaya
aa gae lo wo ayaadat ke liye KHud aa gae
ho gaya bimar dard-e-hijr achchha ho gaya
ek moti sa chamakta hai sar-e-mizgane-e-naz
auj par kya meri qismat ka sitara ho gaya
ho gaya sab mere shikwon ka jawab-e-la-jawab
un ka sharma kar ye kah dena tumhein kya ho gaya
kasrtat-e-didar se un ki nigahen jhuk gain
aks mizhgan ka naqab-e-ru-e-zeba ho gaya
sahte sahte jo na sahna tha use bhi sah liya
pite pite zer-e-gham aaKHir gawara ho gaya
aap hi pahle uTha di ru-e-raushan se naqab
aap hi phir puchhte hain chand ko kya ho gaya
raat bhigi ja rahi hai sard aahen ho chalin
chhoD ye mad-hoshiyan 'talib' sawera ho gaya

Ghazal
Pahle dard-e-dil pe kahte the ki ye kya ho gaya
Talib Baghpati