pahle chingari se ek shola banata hai mujhe
phir wahi tez hawaon se Daraata hai mujhe
bain karte hue is raat ke sannaTe mein
dasht se ghar ki taraf kaun bulata hai mujhe
gard hote hue chehre se milane ke liye
aaina-KHane mein koi liye jaata hai mujhe
sham hoti hai to mera hi fasana aksar
wo jo TuTa hua tara hai sunata hai mujhe
reg-e-sahra se talluq ko baDha deta hai
KHwab mein jab bhi wo dariya nazar aata hai mujhe

Ghazal
Pahle chingari se ek shola banata hai mujhe
Obaidullah Siddiqui