pahle bhi kaun sath tha
ab jo koi nahin raha
waqt sitam-zarif tha
waqt ka phir bhi kya gila
kaisi ajib sham thi
kaisa ajib waqia
kahne ko kah rahe hain log
main ne tujhe bhula diya
qissa ye hai ki main tujhe
dil se kahan bhula saka
tark-e-talluqat ka
baqi hai ek marhala
baqi hai ab bhi zehn mein
KHwabon ka ek silsila
ishq se nisbaton mein hai
mere safar ka rasta
sham hui to chal paDa
hijr-zadon ka qafila
koh-kani se rabt hai
nam-o-nasab ka zikr kya
Ghazal
Pahle bhi kaun sath tha
Ali Wijdan