pahla sa wo zor nahin hai mere dukh ki sadaon mein
shayad pani nahin raha hai ab pyase dariyaon mein
jis baadal ki aas mein joDe khol liye hain suhagan ne
wo parbat se Takra kar baras chuka sahraon mein
jaane kab taDpe aur chamke suni raat ko phir Das jae
mujh ko ek rupahli nagin baiThi mili hai ghaTaon mein
patta to aaKHir patta tha gunjaan ghane daraKHton ne
zamin ko tanha chhoD diya hai itni tez hawaon mein
din bhar dhup ki tarah se hum chhae rahte hain duniya par
raat hui to simaT ke aa jate hain dil ki guphaon mein
khaDe hue jo sahil par to dil mein palken bhig gain
shayad aansu chhupe hue hon subh ki narm hawaon mein
ghazal ke mandir mein diwana murat rakh kar chala gaya
kaun use pahle pujega bahas chali dewtaon mein
Ghazal
Pahla sa wo zor nahin hai mere dukh ki sadaon mein
Bashir Badr