pahchan zindagi ki samajh kar main chup raha
apne hi phenkte rahe patthar main chup raha
lamhe andhere dasht mein pite rahe mujhe
mujh mein tha raushni ka samundar main chup raha
mere lahu ke rang ka aisa asar hua
munsif se bolta raha KHanjar main chup raha
bojhal udas raat thi KHamosh thi hawa
phulon ki aag mein jala bistar main chup raha
'asrar' kyun kisi se main karta shikayaten
wo aaKHiri tha rah ka patthar main chup raha
Ghazal
Pahchan zindagi ki samajh kar main chup raha
Asrar Akbarabadi