pahaDon se utarti sham ki bechaargi dekhen
daraKHton par laraz kar bujh rahi hain aaKHiri kirnen
bahut hi sard hai ab ke dayar-e-shauq ka mausam
chalo guzre dinon ki rakh mein chingariyan DhunDen
bhala patthar bhi rote hain kabhi shishe ke zaKHmon par
agar hota hai aisa to hisab-e-dostan bhulen
sawad-e-sham mein DhunDen koi manus sa chehra
hawa ki rahguzar pe ek nanha sa diya rakkhen
kahan alfaz dete hain hamara sath ab 'fikri'
kahe ashaar sab be-jaan huin bekar sab ghazlen
Ghazal
PahaDon se utarti sham ki bechaargi dekhen
Parkash Fikri

