pae sajda agar mujh ko na tera aastan milta
jo paiham milne wala tha sukun-e-dil kahan milta
meri masti pe zahid kis liye ab rashk karta hai
teri taqdir mein hota to lutf-e-jawedan milta
haram tak hi agar mahdud hoti aashiqi apni
tum hi socho ki phir tum sa but-e-kafir kahan milta
meri shaffaf peshani ne meri laj rakh li hai
mujhe kya kya samajhte tum jo sajdon ka nishan milta
'aziz'-e-warsi jo tum bhi ibn-ul-waqt ho jate
tumhaara tazkira bhi dastan-dar-dastan milta
Ghazal
Pae sajda agar mujhko na tera aastan milta
Aziz Warsi

