paDin ye kis ke jalwe par nigahen
nigahen ban gain KHud jalwa-gahen
kahe mujh se na koi zabt-e-gham ko
abhi munh se nikal jaengi aahen
suluk apna hai un ke naqsh-e-pa par
yahi hain manzil-e-irfan ki rahen
unhen dekhen wo dekhen ya na dekhen
unhen chahen wo chahen ya na chahen
chalae the jinhon ne tir dil par
hum aankhon mein liye hain wo nigahen
natija hai ye aahen khinchne ka
hamein khinche liye phirti hain aahen
'sharaf' kis ne ye Dali aankh mein aankh
nigahon se nikal aain nigahen

Ghazal
PaDin ye kis ke jalwe par nigahen
Sharaf Mujaddidi