paDi wo zad ki nigahon ka hausla TuTa
tumhaare aks ki jhilmil se aaina TuTa
zamin shaq hui aankhon mein bhar gaya suraj
hamare sar pe achanak wo hadisa TuTa
gajar ka shor azan ki pukar kya kahiye
KHuda se mere takallum ka silsila TuTa
hamari fikr had-e-asman se aage thi
magar kabhi na riwayat se wasta TuTa
taghayyuraat ki rau kab ruki hai roke se
har ek daur mein lamhon ka zawiya TuTa
Ghazal
PaDi wo zad ki nigahon ka hausla TuTa
Shan Bharti