paDh ke qasid KHat mera us bad-zaban ne kya kaha
kya kaha phir kah but-e-na-mehrban ne kya kaha
ghair se milna tumhaara sun ke go hum chup rahe
par suna hoga ki tum ko ek jahan ne kya kaha
galiyon ki jhaD bandhi qasd-e-sargoshi mein raat
kya kaha chahe tha main us bad-guman ne kya kaha
sab KHiraj-e-misr de kar tha zuleKHa ko ye soch
mol yusuf se pisar ka karwan ne kya kaha
aah ai murgh-e-chaman kuchh tu bhi waqif hai ki subh
gul ne kya puchha tha hans kar baghban ne kya kaha
phir lahu Tapke hai pyare aaj kuchh baaton ke bich
sach kaho lab se tumhaare rang-e-pan ne kya kaha
'qaem' us kuche se shab ghamgin na aata tha yunhi
kya kahun tujh se ki us ko pasban ne kya kaha
Ghazal
PaDh ke qasid KHat mera us bad-zaban ne kya kaha
Qayem Chandpuri