paDe hue hain mere jism o jaan mere pichhe
hai ek lashkar-e-ghaarat-giran mere pichhe
pas-e-wafat ye be-dastaKHat meri tahrir
nahin hai aur koi bhi nishan mere pichhe
mere mulazim o KHargah asp aur shatranj
sab aaen nazm se matam-kunan mere pichhe
guzar rahi hai andhere mein us badan par kya
na khul sakegi yahi chistan mere pichhe
uThi hui mere sar par azal se hai talwar
khinchi hui hai abad se kaman mere pichhe
ghira hua hun janam-din se is taaqub mein
zamin aage hai aur aasman mere pichhe
Ghazal
PaDe hue hain mere jism o jaan mere pichhe
Mohammad Izhar ul Haq