paDe hain rah mein jo log be-sabab kab se
pukarti hai unhen manzil-e-talab kab se
ye aur baat makinon ko kuchh KHabar na hui
laga rahe the muhafiz magar naqab kab se
koi bhi harba-e-tashhir kargar na hua
tamashbin hi rahi shohrat-e-adab kab se
ukhaD gai hain tanaben sitam ke KHemon ki
ulaT gai hai bisat-e-hasab-nasab kab se
na hausla hai dua ka na aah par hai yaqin
ki hum se ruTh gaya hai hamara rab kab se
samundaron se koi mauj-e-sar-buland uThe
ki sahilon pe taDapte hain jaan-ba-lab kab se
wo hum ne chun diye tanqid ki salibon par
machal rahe the jo kuchh harf zer-e-lab kab se
Ghazal
PaDe hain rah mein jo log be-sabab kab se
Bakhsh Layalpuri