paDa hai panw mein ab silsila mohabbat ka
bura hamara hua ho bhala mohabbat ka
jamal-e-saf ki musa ko tab kab aai
jo dekhiye to hai talib KHuda mohabbat ka
har ek dar pe hai gardish mein mera kasa-e-chashm
wo shah-e-husn hua ye gada mohabbat ka
na sim-o-zar ki hai hajat na kuchh hukumat ki
ugal de ke diya KHun-baha mohabbat ka
kidhar se jata tha 'aKHtar' ye kya hua afsos
KHuda bachae hua samna mohabbat ka

Ghazal
PaDa hai panw mein ab silsila mohabbat ka
Wajid Ali Shah Akhtar