pachhtaoge phir hum se shararat nahin achchhi
ye shoKH-nigahi dam-e-ruKHsat nahin achchhi
sach ye hai ki ghar se tere jannat nahin achchhi
huron ki tere samne surat nahin achchhi
bhule se kaha man bhi lete hain kisi ka
har baat mein takrar ki aadat nahin achchhi
kyun kal ki tarah wasl mein tashwish hai itni
tum aaj bhi kah do ki tabiat nahin achchhi
jab itni samajh hai to samajh kyun nahin jate
main bhi yahi kahta hun ki hujjat nahin achchhi
huron ki taraf aankh uTha kar bhi na dekha
kyun ab bhi kahoge teri niyat nahin achchhi
pahuncha hai qayamat mein bhi afsana-e-ulfat
itni bhi kisi baat ki shohrat nahin achchhi
hum aib samajhte hain har ek apne hunar ko
kya kijiye majbur hain qismat nahin achchhi
mil aaiye dekh aaiye aaj aap bhi ja kar
'beKHud' ki kai roz se haalat nahin achchhi
Ghazal
Pachhtaoge phir humse shararat nahin achchhi
Bekhud Dehlvi