pachas salon mein do ek baras ka rishta tha
meri wafa se tumhaari hawas ka rishta tha
hamara pyar to tha chand aur chakore sa
tumhaara ishq hi gul se magas ka rishta tha
rah-e-hayat ka main aisa ek musafir tha
ki jaise shahr ki saDkon se bus ka rishta tha
suna hai main ne masajid ke un minaron se
manadiron ke in unche kalas ka rishta tha
taras rahe hain jo gulshan mein aashiyanon ko
kal unhin murgh-e-chaman ka qafas se rishta tha
main sochta hun bhala mere jasd-e-KHaki se
ai 'ashk' kya mere tar-e-nafas ka rishta tha
Ghazal
Pachas salon mein do ek baras ka rishta tha
Raza Ashk