payab mauj uTThi to sar se guzar gai
ek sarw-qad jawan ki dastar utar gai
karne laga tha gharq samundar jahan ko
tufan hi maujzan tha jahan tak nazar gai
us tirgi mein barq ki shoKHi ajib thi
aabaad wo hua jise viran kar gai
soe badan ke bahr mein jagi thi KHun ki lahr
jab chaDh ke sar tak aai to jaane kidhar gai
sehn-e-chaman mein dil ke lahu ki har ek bund
patte ko phul shaKH ko talwar kar gai
naseh ne ku-e-yar ka rasta bhula diya
achchha hua ki hasrat-e-didar mar gai
Ghazal
Payab mauj uTThi to sar se guzar gai
Manzoor Arif