paya jo tujhe to kho gae hum
bedar hue to so gae hum
dil mein liye ghair ko gae hum
ek aae adam se do gae hum
mahshar mein lagi bujhane aae shaiKH
sidhe tasnim ko gae hum
samjhe na wo zaKHm-o-dagh-e-dil hai
le kar nae phul do gae hum
bhar kar dam-e-naza ek dam-e-sard
jannat ki hawa mein so gae hum
ab dasht-e-nur-o-ishq jo ho
us rah mein kanTe bo gae hum
kausar ka tha zikr hauz-e-mai par
hum kah ke gire ki lo gae hum
allah bachae duKHt-e-raz se
ye aai ki mast ho gae hum
ab kashmakash-e-hisab kaisi
kuchh hashr mein aa ke kho gae hum
sau kaba-e-din the jalwa-afroz
KHum-KHane mein aaj jo gae hum
maiKHane mein jab kabhi hum aae
daDhi ro kar bhigo gae hum
is haj mein wo but bhi sath hoga
ye sach hai 'riyaz' to gae hum
Ghazal
Paya jo tujhe to kho gae hum
Riyaz Khairabadi