pate hain kuchh kami si taswir-e-zindagi mein
kya naqsh chhoD aae hum dasht-e-be-KHudi mein
zinjir-e-agahi se shamshir-e-agahi tak
kya kya maqam aae dil ki sipah-gari mein
ji dekhne ko tarse dekhun to kis nazar se
tufan-e-KHirgi hai jalwon ki raushni mein
hasti bajae KHud hai ek kar-gah-e-hasti
hum mast-bandagi mein wo banda-parwari mein
DhunDe se bhi na pai sadiyon ki justuju ne
shamil thi jo tajalli tartib-e-unsuri mein
wo shai kahan hai pinhan ai mauj-e-ab-e-haiwan
jo wajh-e-sar-KHushi thi barson ki tishnagi mein
Ghazal
Pate hain kuchh kami si taswir-e-zindagi mein
Aziz Tamannai