اردو हिंदी
Pata nahin jo lazzat-e-ah-e-sahar ko main | Shaahi Shayari
pata nahin jo lazzat-e-ah-e-sahar ko main

Ghazal

Pata nahin jo lazzat-e-ah-e-sahar ko main

Asghar Gondvi

;

pata nahin jo lazzat-e-ah-e-sahar ko main
phir kya karunga le ke ilahi asar ko main

aashob-gah-e-hashr mujhe kyun ajib ho
jab aaj dekhta hun teri rahguzar ko main

aisa bhi ek jalwa tha us mein chhupa hua
us ruKH pe dekhta hun ab apni nazar ko main

jina bhi aa gaya mujhe marna bhi aa gaya
pahchanne laga hun tumhaari nazar ko main

wo shoKHiyon se jalwa dikha kar to chal diye
un ki KHabar ko jaun ki apni KHabar ko main

aahon ne meri KHirman-e-hasti jala diya
kya munh dikhaunga teri barq-e-nazar ko main

baqi nahin jo lazzat-e-bedari-e-fana
phir kya karunga zindagi-e-be-asar ko main

'asghar' mujhe junun nahin lekin ye haal hai
ghabra raha hun dekh ke diwar-o-dar ko main