pata hun iztirab ruKH-e-pur-hijab mein
shayad chhupa hai dil mera un ki naqab mein
su-e-falak wo dekhen agar pech-o-tab mein
barpa ho hashr gahan lage aaftab mein
wo chandni mein ruKH se haTa den agar naqab
lag jaen chaar-chand ruKH-e-mahtab mein
ai na-KHuda-e-kashti-e-dil dekh-bhaal ke
tufan chhupe na hon kahin qalbe-habab mein
sabr-azma nigahon ka sadqa idhar bhi dekh
phir kuchh kami si pata hun ab iztirab mein
ek tum hi aae dard ki duniya basa gae
warna raha tha kya dil-e-KHana-KHarab mein
'iqbaal' in ki mast-nigahon ka faiz hai
mera jahan-e-shauq hai Duba shabab mein
Ghazal
Pata hun iztirab ruKH-e-pur-hijab mein
Iqbal Husain Rizvi Iqbal