اردو हिंदी
Pas hote hue juda kyun hai | Shaahi Shayari
pas hote hue juda kyun hai

Ghazal

Pas hote hue juda kyun hai

Yunus Ghazi

;

pas hote hue juda kyun hai
is qadar hum se wo KHafa kyun hai

tauba kar li jab us ne pine se
jaanib-e-mai-kada gaya kyun hai

nikhat-e-gul chaman mein hai maujud
jaane aawara phir saba kyun hai

mujh pe jaur-o-sitam hi achchhe the
mehrban ab wo bewafa kyun hai

hain sabhi par tumhaare mehr-o-karam
mujh pe lekin sitam rawa kyun hai

zulf bikhri hai sham se pahle
ye ada kya hai ye ada kyun hai

talib-e-did kab se hai 'ghazi'
wo hijabaat mein chhupa kyun hai