pas-e-namus-e-tamanna har ek aazar mein tha
nashsha-e-nighat-e-gul bhi KHalish-e-KHar mein tha
kis se kahiye ki zamane ko garan guzra hai
wo fasana ki meri hasrat-e-guftar mein tha
dil ki aata hi nahin tark-e-tamanna ki taraf
koi iqrar ka pahlu tere inkar mein tha
kuchh tujhe yaad hai ai chashm-e-zuleKHa-e-jahan
hum sa yusuf bhi koi misr ke bazar mein tha
zindagi ja na saki sham-o-sahar se aage
sara aalam isi aaina-e-takrar mein tha
umr bhar chashm-e-tamasha ko rahi jis ki talash
'hosh' wo husn-e-gurezan mere ashaar mein tha
Ghazal
Pas-e-namus-e-tamanna har ek aazar mein tha
Hosh Tirmizi