pas apne boriya bistar na tha
itna sarmaya bhi apne ghar na tha
dasht jangal saiban-o-dar na tha
main hi main tha aur koi manzar na tha
daeron mein bhi na guzri zindagi
KHwahishon ka bhi koi mehwar na tha
ek zanjir-e-hawas kar-e-nishat
aur koi silsila haT kar na tha
qatl karta tha mujhe wo pai-ba-pai
us ke hathon mein magar KHanjar na tha
apne hi ham-zad se Darta hun main
yun kisi aaseb se kuchh Dar na tha
hum ye sauda apne sar mein le chale
us gali mein ek bhi patthar na tha
Ghazal
Pas apne boriya bistar na tha
Mukhtar Shameem