pas aa kar chala gaya koi
hanste hanste rula gaya koi
dil ki duniya mein aa gaya koi
dard ban kar sama gaya koi
yun bahaar aai aur chali bhi gai
jaise aa kar chala gaya koi
dard-e-ulfat se aashna kar ke
mujh se aankhen chura gaya koi
phir nazar mein bahaar raqsan hai
phir tasawwur pe chha gaya koi
hae re meri nim-bedari
aate aate chala gaya koi
raaz-e-ulfat na chhup saka 'nayyar'
aankhon aankhon mein pa gaya koi
Ghazal
Pas aa kar chala gaya koi
Nayyar Aasmi