par utarne ke liye to KHair bilkul chahiye
bich dariya Dubna bhi ho to ek pul chahiye
fikr to apni bahut hai bas taghazzul chahiye
nala-e-bulbul ko goya KHanda-e-gul chahiye
shaKHsiyat mein apni wo pahli si gahrai nahin
phir teri jaanib se thoDa sa taghaful chahiye
jin ko qudarat hai taKHayyul par unhen dikhta nahin
jin ki aanhken Thik hain un ko taKHayyul chahiye
roz hamdardi jatane ke liye aate hain log
maut ke baad ab hamein jina na bilkul chahiye
Ghazal
Par utarne ke liye to KHair bilkul chahiye
Shuja Khaavar