اردو हिंदी
Panw phanse mein hath chhuDane aaya tha | Shaahi Shayari
panw phanse mein hath chhuDane aaya tha

Ghazal

Panw phanse mein hath chhuDane aaya tha

Ainuddin Azim

;

panw phanse mein hath chhuDane aaya tha
tum se mil kar wapas jaane aaya tha

sara shor mere andar ka jag uTTha
sannaTon mein dil bahlane aaya tha

jangal jaisi raat kahan tanha kaTti
tera gham bhi hath baTane aaya tha

duniya par main ne bhi parda Dal diya
wo bhi dil ki baat batane aaya tha

aankhen jhapkin ahd-e-jawani bit gaya
le kar kitne KHwab suhane aaya tha

'azim' dil ki kai-zada chaTTanon par
dard ka lashkar panw jamane aaya tha