اردو हिंदी
Panw patton pe dhire se dharta hua | Shaahi Shayari
panw patton pe dhire se dharta hua

Ghazal

Panw patton pe dhire se dharta hua

Aadil Raza Mansoori

;

panw patton pe dhire se dharta hua
wo guzar jaega yun hi Darta hua

bojh suraj ka sar par uThane ko hai
ek saya nadi mein utarta hua

sham sahil pe gum-sum si baiThi hui
aur dariya mein sona bikharta hua

tere aane ki us ko KHabar kis ne di
ek aashufta-sar hai sanwarta hua

dekhta rah gaya apni parchhaiyan
waqt guzra hai kitna Thaharta hua