اردو हिंदी
Panw paDta hua rasta nahin dekha jata | Shaahi Shayari
panw paDta hua rasta nahin dekha jata

Ghazal

Panw paDta hua rasta nahin dekha jata

Abbas Tabish

;

panw paDta hua rasta nahin dekha jata
jaane wale tera jaana nahin dekha jata

teri marzi hai jidhar ungli pakaD kar le ja
mujh se ab tere alawa nahin dekha jata

ye hasad hai ki mohabbat ki ijara-dari
darmiyan apna bhi saya nahin dekha jata

tu bhi ai shaKHs kahan tak mujhe bardasht kare
bar bar ek hi chehra nahin dekha jata

ye tere chahne wale bhi ajab hain jaanan
ishq karte hain ki hota nahin dekha jata

ye tere baad khula hai ki judai kya hai
mujh se ab koi akela nahin dekha jata