panw mein qais ke zanjir bhali lagti hai
yun hi diwane ki taswir bhali lagti hai
apni kya tujh se kahun tu hi kah apni mujh se
ki mujhe teri hi taqrir bhali lagti hai
KHush-numa hai tere aariz pe ye KHat yun jis tarah
gird quran ke tafsir bhali lagti hai
jab mere KHun mein hoti hai wo rangin qatil
us ghaDi kya teri shamshir bhali lagti hai
hoti hai aashiq o mashuq ki jis mein taswir
apni aankhon mein wo tamir bhali lagti hai
meri taswir ko ghamnak tu khinch ai mani
shakl ushshaq ki dil-gir bhali lagti hai
'mushafi' baje hai naubat to dar-e-'asif' par
kya hi aawaz-e-bam-o-zer bhali lagti hai
Ghazal
Panw mein qais ke zanjir bhali lagti hai
Mushafi Ghulam Hamdani