panw mein dur ka safar chamke
raat basti mein jab khanDar chamke
gar dua hai to phir asar chamke
shaKH par ek to samar chamke
ek aaseb hai har ek ghar mein
ek hi chehra dar-ba-dar chamke
zulmaton ki zamin par dekhen
kis tarah nur ka nagar chamke
in chamakte hue andheron mein
ek to harf-e-mo'tabar chamke
raushni ho to ruh tak larze
aur andhere mein ek Dar chamke
sahilon ki shafiq aankhon mein
dhup kapDe utar kar chamke
Ghazal
Panw mein dur ka safar chamke
Sheen Kaaf Nizam