panw jab ho gae patthar to sada di us ne
faisla karne mein KHud der laga di us ne
ab jo aaankhon mein dhuan hai to shikayat kaisi
yar KHud hi to charaghon ko hawa di us ne
ye alag baat ki wo mera KHaridar nahin
aa ke bazar ki raunaq to baDha di us ne
koi shikwa na shikayat na wazahat koi
mez se bas meri taswir haTa di us ne
raat zanjir ki aawaz jo kuchh tez hui
subh diwar pe diwar uTha di us ne
sirf ek rah alag thi wo mere ishq ki rah
aur wo rah bhi duniya se mila di us ne
mere ham-rah zara der ko chal kar 'tariq'
aur kuchh waqt ki raftar baDha di us ne
Ghazal
Panw jab ho gae patthar to sada di usne
Tariq Qamar