pani pani rahte hain
KHamoshi se bahte hain
meri aankh ke tare bhi
jalte bujhte rahte hain
bechaare masum diye
dukh sanson ka sahte hain
jis ki kuchh tabir na ho
KHwab usi ko kahte hain
apnon ki hamdardi se
dushman bhi KHush rahte hain
masjid bhi kuchh dur nahin
wo bhi pas hi rahte hain
Ghazal
Pani pani rahte hain
Zaheer Rahmati