pani pani ho gaya josh abr-e-dariya-bar ka
dekh kar tufan hamare dida-ha-e-zar ka
chashm-e-hamdardi mariz-e-ishq in aankhon se na rakh
kaam kya nikle bhala bimar se bimar ka
dil se hamdam ne rah-e-ulfat mein ye dhoka diya
kya kare ab koi duniya mein bharosa yar ka
dil diya jis ko usi ne dagh-e-mayusi diya
ras hi aaya na hum ko hae karna pyar ka
ya miTaya us ka likhwaya main KHud hi miT gaya
ai muqaddar ab to ye sar aur dar hai yar ka
hum ne 'kaifi' KHub hi aankhen laDain us se kal
kar diya sara hiran nashsha nigah-e-yar ka
Ghazal
Pani pani ho gaya josh abr-e-dariya-bar ka
Dattatriya Kaifi

