اردو हिंदी
Pani mein bhi pyas ka itna zahr mila hai | Shaahi Shayari
pani mein bhi pyas ka itna zahr mila hai

Ghazal

Pani mein bhi pyas ka itna zahr mila hai

Ali Akbar Abbas

;

pani mein bhi pyas ka itna zahr mila hai
honTon par aate har qatra sukh raha hai

andhe ho kar baadal bhage phirte hain
gate gate ek parinda aag hua hai

phul aur phal to taza konpal par aate hain
pila patta is wahshat mein TuT raha hai

gardish gardish chalne se hi kaT paega
chaaron jaanib ek safar ka jal bichha hai

usi peD ke niche dafn bhi hona hoga
jis ki jaD par main ne apna nam likha hai