pani mein agar aks ki haalat mein bahun main
mumkin hai kinare ka kinara hi rahun main
ai KHama-gar-e-waqt mujhe izn-e-suKHan de
tujh se teri rifat ke tawassul se malun main
chalti hui baaton mein use kaam paDe yaad
Thahre hue lafzon mein ijazat ka kahun main
binai ko tarsi hui be-rangi ke dar par
aankhon ki asiri mein likhi nazm paDhun main
aawazon ke jathe mein tera lahja parakhte
KHamoshi se phaili hui KHamoshi sunun main
jangal si pur-asrar KHamoshi liye 'arish'
jharne ki tarah shor machata bhi rahun main
Ghazal
Pani mein agar aks ki haalat mein bahun main
Sarfraz Arish