اردو हिंदी
Pani ko patthar kahte hain | Shaahi Shayari
pani ko patthar kahte hain

Ghazal

Pani ko patthar kahte hain

Adil Mansuri

;

pani ko patthar kahte hain
kya kuchh dida-war kahte hain

KHush-fahmi ki had hoti hain
KHud ko danish-war kahte hain

kaun lagi-lipTi rakhta hai
hum tere munh par kahte hain

Thik hi kahte honge phir to
jab ye professor kahte hain

sab un ko andar samjhe the
wo KHud ko bahar kahte hain

tera is mein kya jata hai
apne khanDar ko ghar kahte hain

nazm samajh mein kab aati hai
dekh is ko mantar kahte hain