pani ko aag kah ke mukar jaana chahiye
palkon pe ashk ban ke Thahar jaana chahiye
saut-o-suKHan ke daere tahlil ho gae
qaus-e-nazar se dil mein utar jaana chahiye
ehsas ki zaban ko lughat se nikal kar
mani ki sarhadon se guzar jaana chahiye
duniya ki wusaten hain ba-andaza-e-nazar
ye dekhne ka kaam hai kar jaana chahiye
tanha nazar pe kijiye kis dil se e'tibar
dil ko bhi ta-ba-hadd-e-nazar jaana chahiye
gham-ha-e-zindagi se na tha umr bhar faragh
ab kuchh to zindagi ko sanwar jaana chahiye
jaun kahan ki KHud meri rahen safar mein hain
rahen safar mein hon to kidhar jaana chahiye
zanjir-e-makan hai jahan husn-e-la-makan
us anjuman mein bar-e-digar jaana chahiye
zamzam harim-kaba mein hai mamta ka dil
hai shart-e-zist Dub ke mar jaana chahiye
jaan ho agar mata-e-talab se aziz-tar
parwanon ko charagh se Dar jaana chahiye
yaro suna hai aap mein gum ho gaya 'zafar'
is KHanuman-KHarab ke ghar jaana chahiye
Ghazal
Pani ko aag kah ke mukar jaana chahiye
Yusuf Zafar