اردو हिंदी
Pani ka ajab taur tha pani se nikal kar | Shaahi Shayari
pani ka ajab taur tha pani se nikal kar

Ghazal

Pani ka ajab taur tha pani se nikal kar

Javed Shaheen

;

pani ka ajab taur tha pani se nikal kar
sailab ki surat tha rawani se nikal kar

sunne ko jo baiThe hain unhen kaise bataun
kirdar koi gum hai kahani se nikal kar

kahni hai koi baat to kah sidhi zaban mein
alfaz ke pur-pech maani se nikal kar

zindani-e-ulfat hai kahan aaj zamana
ye dekh kisi yaad purani se nikal kar

takta raha tezi se badalte hue manzar
phirta raha main yaad suhani se nikal kar

bhar rakkha tha KHush-bu ne mere sehn ko 'shahin'
kone mein khili raat ki rani se nikal kar