اردو हिंदी
Pai hamesha ret bhanwar kaTne ke baad | Shaahi Shayari
pai hamesha ret bhanwar kaTne ke baad

Ghazal

Pai hamesha ret bhanwar kaTne ke baad

zafar iqbal zafar

;

pai hamesha ret bhanwar kaTne ke baad
tishna-labi ka lamba safar kaTne ke baad

kuchh aise kam-nazar bhi musafir hamein mile
jo saya DhunDte hain shajar kaTne ke baad

fan ki hamare aaj bhi shohrat hai har taraf
wo mutmain tha dast-e-hunar kaTne ke baad

utri hui hai dhup badan ke hisar mein
qurbat ke faslon ka safar kaTne ke baad

shewa to zabt ka hai magar kya karun 'zafar'
baDhti hai pyas aur bhi sar kaTne ke baad