paen jo raushni teri jalwa-gari se hum
ho len qarib aur bhi kuchh be-KHudi se hum
kar le qubul-e-husn ke sadqe mein jaan-o-dil
fariyaad kar rahe hain teri dilbari se hum
aisa nasib mera kahan mere ham-zaban
kuchh der baat karte jo hans kar kisi se hum
ai husn mujh ko husn ke sadqe ki bhik de
phailae hath baiThe hain kis aajizi se hum
Thukrao lakh mujh ko tumhein iKHtiyar hai
phir bhi na baz aaenge is bandagi se hum
Ghazal
Paen jo raushni teri jalwa-gari se hum
Noor Mohammad Noor