اردو हिंदी
Paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi | Shaahi Shayari
paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi

Ghazal

Paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi

Irfan Ahmad mir

;

paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi
ashkon ki rawani tham na saki aankhon ke the arman aur sahi

aadab-e-chaman anjam to de gul se na haTa titli ko saba
ulfat ki haya mahfuz rahe go tujh mein hon tufan aur sahi

ho sai-e-karam ghairon pe agar apnon pe mazaq-e-am na ho
hum rah mein hain Thokar hi to de manzil ke hon shayan aur sahi

is dasht-e-wafa mein qais bhi hai aur shaiKH bhi hai mushtaq-e-milan
jo wasl nahin to kya gham hai kuchh lamhe ibaran aur sahi

ek gul jo gira barnai mein bulbul ko yahi afsos raha
mashghul raha gham-KHwari mein hon fasl-e-bahaaran aur sahi

andaz-e-saba se waqif hun aur rabt-e-bahar se bhi baaligh
ruKH moD ke chalna jina hai KHwah us ke hon payan aur sahi