pa-e-talab ki manzil ab tak wahi gali hai
aaghaz bhi yahi tha anjam bhi yahi hai
jis dastan-e-gham ka unwan raushni hai
har lafz ki siyahi KHud munh se bolti hai
tarz-e-tapak qaem lutf-e-nazar wahi hai
lekin ye waqia hai phir bhi koi kami hai
un ki nazar se dil ki ye bahs ho rahi hai
kya chiz zindagi mein maqsud-e-zindagi hai
har laghzish-e-bashar par tanqid karne walo
tum ye bhula chuke ho insan aadmi hai
ye sazish-e-taghayyur hai kitni jaan-lewa
mujh ko jaga ke meri taqdir so gai hai
han mere waste hai taKHsis ka ye pahlu
duniya samajh rahi hai andaz-e-be-ruKHi hai
mumkin nahin ki daman be-dagh ho kisi ka
sach puchhiye to duniya kajal ki koThari hai
tabinda har-nafas hai ummid ki badaulat
mehrab-e-zindagi mein ek shama jal rahi hai
dekhe to koi shan-e-sahar-e-nigah-e-saqi
saghar mein khinch ke ruh-e-mai-e-KHana aa gai hai
wabasta-e-nafas hai nazm-o-nizam-e-hasti
yani hawa pe qaem buniyaad=-e-zindagi hai
kab tak ye KHwab-e-ghaflat jago 'uruj' jago
ab dhup baDhte baDhte sar par hi aa gai hai

Ghazal
Pa-e-talab ki manzil ab tak wahi gali hai
Urooj Zaidi Badayuni