pa-ba-zanjir sahi zamzama-KHwan hain hum log
mahfil-e-waqt teri ruh-e-rawan hain hum log
dosh par bar-e-shab-e-gham liye gul ki manind
kaun samjhe ki mohabbat ki zaban hain hum log
KHub paya hai sila teri parastari ka
dekh ai subh-e-tarab aaj kahan hain hum log
ek mata-e-dil-o-jaan pas thi so haar chuke
hae ye waqt ki ab KHud pe garan hain hum log
nikhat-e-gul ki tarah naz se chalne walo
hum bhi kahte the ki aasuda-e-jaan hain hum log
koi batlae ki kaise ye KHabar aam karen
DhunDti hai jise duniya wo nishan hain hum log
qismat-e-shab-zadagan jag hi jaegi 'alim'
jaras-e-qafila-e-KHush-KHabran hain hum log
Ghazal
Pa-ba-zanjir sahi zamzama-KHwan hain hum log
Obaidullah Aleem

