اردو हिंदी
Pa-ba-jaulan arsa-e-sarw-o-saba mein aae hain | Shaahi Shayari
pa-ba-jaulan arsa-e-sarw-o-saba mein aae hain

Ghazal

Pa-ba-jaulan arsa-e-sarw-o-saba mein aae hain

Mahshar Badayuni

;

pa-ba-jaulan arsa-e-sarw-o-saba mein aae hain
hum bhi kuchh naghme liye shahr-e-nawa mein aae hain

hum KHas-o-KHashak aawara guzargahon ka bojh
raqs karne tere kuche ki hawa mein aae hain

ye fishaar-e-gard-o-zulmat ye KHarosh-e-abr-o-baad
aap hi ka dil hai milne is faza mein aae hain

tujh se mil kar sab se ab daman chhuDa lenge magar
sath jin kanTon ke hum rah-e-wafa mein aae hain

sharm ke kuchh phul le kar kuchh nadamat ke guhar
tere parwarda teri daulat-sara mein aae hain

ab tak aankhon ki nami ka silsila TuTa nahin
kuchh ghubar aise hi ji par ibtida mein aae hain

aaj hi dekhe the armanon ke KHwab aur aaj hi
kuchh nae halqe nazar zanjir-e-pa mein aae hain