اردو हिंदी
Pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-naward | Shaahi Shayari
pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-naward

Ghazal

Pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-naward

Mirza Ghalib

;

pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-naward
KHar-e-pa hain jauhar-e-aina-e-zanu mujhe

dekhna haalat mere dil ki ham-aghoshi ke waqt
hai nigah-e-ashna tera sar-e-har-mu mujhe

hun sarapa saz-e-ahang-e-shikayat kuchh na puchh
hai yahi behtar ki logon mein na chheDe tu mujhe

bais-e-wamandgi hai umr-e-fursat-ju mujhe
kar diya hai pa-ba-zanjir-e-ram-e-ahu mujhe

KHak-e-fursat bar-sar-e-zauq-e-fana ai intizar
hai ghubar-e-shisha-e-saat ram-e-ahu mujhe

ham-zaban aaya nazar fikr-e-suKHan mein tu mujhe
mardumuk hai tuti-e-aina-e-zanu mujhe

yaad-e-mizhgan mein ba-nashtar-e-zar-e-sauda-e-KHayal
chahiye waqt-e-tapish yak-dast sad-pahlu mujhe

iztirab-e-umr be-matlab nahin aaKHir ki hai
justuju-e-fursat-e-rabt-e-sar-e-zanu mujhe

chahiye darman-e-rish-e-dil bhi tegh-e-yar se
maram-e-zangar hai wo wasma-e-abru mujhe

kasrat-e-jaur-o-sitam se ho gaya hun be-dimagh
KHub-ruyon ne banaya 'ghaalib'-e-bad-KHu mujhe

fursat-e-aram-e-ghash hasti hai bohran-e-adam
hai shikast-e-rang-e-imkan gardish-e-pahlu mujhe

saz-e-ima-e-fana hai aalam-e-piri 'asad'
qamat-e-KHam se hai hasil shoKHi-e-abru mujhe