os ki tamanna mein jaise bagh jalta hai
tu na ho to sine ka dagh dagh jalta hai
chand chal diya chup-chap so gae sitare bhi
raat ki syahi mein dil ka dagh jalta hai
maut ek kahani hai zist jawedani hai
ek charagh bujhta hai ek charagh jalta hai
qatl-gah se le kar qatilon ke daman tak
KHun-e-nahaq-e-farhad ka suragh jalta hai
sathiyon se duri mein ek jahan se duri hai
mai mein dam nahin saqi aur ayagh jalta hai
Ghazal
Os ki tamanna mein jaise bagh jalta hai
Safdar Meer